Awaaz Di Hai Asha Bhosle, Bhupinder Song Download
Play This Song
Song Lyrics
Aavaaz Dee Hai Aaj Ik Nazar Ne Ya Hai Ye Dil Ko Gumaan?
doharaa Rahee Hain Jaise Fizaayein Bhuuli Huee Daastaan
aavaaz Dee Hai Aaj Ik Nazar Ne Ya Hai Ye Dil Ko Gumaan?
doharaa Rahee Hain Jaise Fizaayein Bhuuli Huee Daastaan
laut Aayi Hain Phir Ruthi Bahaaren, Kithna Haseen Hai Samaan
duniyaa Se Kah Do, Naa Hamko Pukaare, Hum Kho Gae Hain Yahaan

jeevan Mein Kitni Viraaniyaan Thi, Chai Thi Kaisee Udaasi
sunakar Kisi Ke Qadamon Kee Aahat Halchal Huee Hai Zaraa See
ho, Jeevan Mein Kitni Viraaniyaan Thi, Chai Thi Kaisee Udaasi
sunakar Kisi Ke Qadamon Kee Aahat Halchal Huee Hai Zaraa See
saagar Mein Jaise Lehren Uthi Hain, Tuuti Hain Khaamoshiyaan
doharaa Rahee Hain Jaise Fizaayein Bhuuli Huee Daastaan
tufaan Mein Khoi Kashtee Ko Akhir Mil Hee Gaya Phir Kinaraa
hum Chhod Aaye Khvaabon Kee Duniyaa, Dil Ne Tere Jab Pukaaraa

kab Se Khadi Thi Baahen Pasaare Is Dil Kee Tanhaayiyaan
duniyaa Se Kah Do, Naa Hamko Pukaare, Hum Kho Gae Hain Yahaan
ab Yaad Aayaa Kithna Adhoora Ab Tak Tha Dil Ka Fasaanaa
yoon Paas Aa Ke, Dil Mein Samaa Ke Daaman Naa Humse Chhudaana

jin Raaston Par Tere Qadam Hon, Manzil Hai Meri Vahaan