Nazar Ka Jhuk Jana Geeta Dutt Song Download
Play This Song
Song Lyrics
Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko, Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain
Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko, Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain
"Badi Hain Rangeen Fizayein, Dekho
Tarana Gaao, Ji," Deewana Kehta Hai
"Sabhi Dilwale Huye Matwale
Baharein Aayi Hain," Zamana Kehta Hai
Baharon Ka Ishara Toh Samajh Lo, Ji
Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko, Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain
Yeh Kaali Zulfein Agar Bikhra Doon
Falak Pe Aawara Ghatayein Jhuk Jaayein
Nazar Ki Shokhi Agar Dikhla Doon
Ghata Ke Daaman Mein Sitare Chhup Jaayein
Sitaron Ka Ishara Toh Samajh Lo, Ji
Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko, Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain
Nasheeli Raatein, Nazar Se Baatein
Kisi Se Milne Ke Bahane Bante Hain
Udhar Khamoshi, Idhar Madhoshi
Aankhon-aankhon Mein Fasane Bante Hain
Isharon Ka Ishara Toh Samajh Lo, Ji
Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko, Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain
Nazar Ka Jhuk Jaana, Zubaan Ka Ruk Jaana
Isi Ko, Meri Jaan, Mohabbat Kehte Hain